DARYA-E-CHANDRA BHAAGA
Bari muddat se behta hua mai Chandra Bhaga hun
Chander taal se nikalta hua Tandi mai pahunchta hun
Meri behn Bhaga behti aai hai
Tandi me muje galley lagai hai
Dono milkar lahul se aati hai
Sundar wadi ko apna nazara dikhati hai
Paharo ko cheer kar Nadiyon ko mila kar Bari shaan se behti hun
Pangi ghati se guzar kar Paddar ke sar zameen par aati hun
Sansaari, Ishtayari, tiyari, sohal, gulabgarh ke darmyan behti hun
Bhot nala ko sangam kila gulabgarh mai apne se milati hun
Kya sundar nazara kundal tattapani laddar ki haryali dhaan ke kheton ki
Kijaie affani layee jar karthie ke khoob surat kheton ki
guzarti hun nanattoo chichaa nagseni dool se bhandar koot mai
Marwah Warwan behtii hun marvi sudhar Dacchhan Palmar se sangam bhandar koot acheter masteron 200 online mai Milkar kar banjaati hun chandar bhaga se naam chan aab
Ho jata hai chander bhaga se badal kar naam chenab
Sab logon ne mera nazara dekha hai,
Har mor par mera kinara dekha hai
Marte hai to mera kinara pyara hai,
Har koi meri goad me samata hai
Ab araamgahe bani hain meri kinare
Khaak me mila dete hai mere sahare
Mera hi paani lekar di jaati hai shradanjli
Sab petron ke maryada ko poori karti shradhanjli
Pooja karo azeezo meri mai chenab hun
Tum sab ki madad mai, mai sada kamyab hun
Jab kabhi koi buzdil kho jata hai dimagi kaman
Doob jata hai muj mai maa ki goad kay saman.
Behta hun me zila doda ke darmyan se
Mera rishta hai bharpoor hindustaan se
Sadion se teh ye sakht dagar kar aata hun
Dashwar raaston ka safar kar kay aata hun
Chaati baja ke kehta hun pukhta yakeen se
Maine lia hai janam is sar zameen se
Behta hun ghaation mai chenab aan baan se
Funkarti hun kisi naagin ki shaan se
Haan meri nekion ko bhulana na tum kabhi
Saari gandgi utha le jati hu barish me sabhi
O bhi din aaya mera mufad tum ne uthaya
Dool hasti me project bijli sarkar ne banaya
Bijli tumhe jo milti hai wo meri den hai
Indra ji aur mehta om ki koshish ki den hai
Mza lete hai bharat me aaj bijli ka
Arbon rupya kamati hai aaj sarkar bijli ka
Jaha se bijli haasil hui wo gareeb awaam khaali hai
Jo aaj bhi jhoojte hai andhera aur badhali hai
Lahul se chandan bhi laata hu saath saath
Kheton ko senchai karta hai gaza-be-hisaab
Nehre mujse nikli ranbir aur partap bhi
Khula dhaan paida kia kandi ko kia sairaab bhi
Laate hai lakri akhnoor tak chenab se
Gharon mai khana pakta tha is aag se
Kis kadar madad gar daryaye chenab hamara
Bager keemat ke dastyaab hota indhan hamara
Firm ki lakri behti hui pahunchti akhnoor mai
Sab mazoor garib karte the kaam chenab mai
Iski bari deen hai bijli project bane ismai
Dool hasti, bagliar, salal bane sab ismai
Aur bhi ban ne wale hai project iske andar
Jaise karthie, kwar, keru, ratle, pakal dool iske andar
Sab samsya khatam ho gi bijli ki bharat ke andar
Unche shikhar pe hoga bharat bijli ke andar
Daulat terri soch se Chenab pukarti hai
Mat ganda karo amrit ko tum ko sukdharti hai
Milega sab ko sukh iske saaf paani se
Koi bimari paida na hogi iske amrit paani se
Daastan sun lo meri har bashr se iltjaa meri
Kabhi bhoolna nahi is dharti par me khari.
(A poem on the mighty river Chenab by Sh.Daulat Ram Aryan, retired Tehsildar )